Tuesday, April 8, 2014

..........................



Ek alag baichani si hai,
Ek alag hi kasak hai ye..
Ki udane ki kashish hai ye.... 
Ye man chanchal theherta hi nahin
Apne paron ko dhundne ki ek zid si lie baitha hai…… 
Lekin dhundne jo nikale to dhund pata bhi nahin……… 
 Khud se rubaroo ho pata bhi nahin … 
Hum koshish Karen lakh samjhaen…… 
Par apne bhramon ki dunia se alag ho pata hi nahin.......
Na jane kaun si umeed ka kinara kie baitha hai.......
Na jane kaun se asman ka sahara lie baitha hai
Kale ghane badlon ke saye se....... 
Tez barsati barish ki tabahi se
Dar aur saham to jata hai ye……
Lekin har manna iski fidrat main nahin ……
Na jane roshani ki kaun si aas hai ye … 
Jisme khud ko is kadar bhigaye baitha hai ye……
Har dard beasar sa hone laga hai…
Ye na sunna chahta hai na samjhna chahta hai….
Baichani ka ye ajeeb silsila hai…
Jisse bahar ana shayad ye chahta hi nahin..
Ye to sirf intzar karna chahta hai…
Ek nai subh ka ..
Ye to sirf intzar karna chahta hai…

1 comment:

  1. Sachmuch. Mann baawra hi hai. Chot khaane ke baad bhi rukna gawaara nahi. Thehrav se parhez karta hai yeh mann.

    Lekin sach poocho toh, shayad issi ko jeena kehte hain.

    Cheers
    CRD

    Do visit mine. I blog at www.scriptedinsanity.blogspot.in

    ReplyDelete