Ek alag baichani si hai,
Ek alag hi kasak hai ye..
Ki udane ki kashish hai ye....
Ye man chanchal theherta hi nahin…
Apne paron ko dhundne ki ek zid
si lie baitha hai……
Lekin dhundne jo nikale to dhund
pata bhi nahin………
Khud se rubaroo ho pata bhi
nahin …
Hum koshish Karen lakh samjhaen……
Par apne bhramon ki dunia se alag
ho pata hi nahin.......
Na jane kaun si umeed ka kinara
kie baitha hai.......
Na jane kaun se asman ka sahara
lie baitha hai…
Kale ghane badlon ke saye se.......
Tez barsati barish ki tabahi se…
Dar aur saham to jata hai ye……
Lekin har manna iski fidrat main
nahin ……
Na jane roshani ki kaun si aas
hai ye …
Jisme khud ko is kadar bhigaye
baitha hai ye……
Har dard beasar sa hone laga hai…
Ye na sunna chahta hai na samjhna
chahta hai….
Baichani ka ye ajeeb silsila hai…
Jisse bahar ana shayad ye chahta
hi nahin..
Ye to sirf intzar karna chahta
hai…
Ek nai subh ka ..
Ye to sirf intzar karna chahta
hai…